Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek mauj-e-suKHan laya KHayalat ka dariya

Uzma Siddiqi

ek mauj-e-suKHan laya KHayalat ka dariya

Uzma Siddiqi

MORE BYUzma Siddiqi

    ik mauj-e-suḳhan laayā ḳhayālāt dariyā

    alfāz meñ bahte hue jazbāt dariyā

    ik shorish-e-paiham meñ giraftār hai dil bhī

    andoh۔farozāñ hai siyah-rāt dariyā

    dar-pesh mujhe aise samundar safar hai

    jis meñ mujhe laayā hai ye hālāt dariyā

    biite hue lamhoñ huuñ tasvīr-e-shikasta

    ā.īna-e-shorīda mirī zaat dariyā

    shāloñ meñ lipaTtī huī pur-haul fazā.eñ

    sailāb bulā laayā hai āfāt dariyā

    'uzmā' mirī tahzīb pahchān yahī hai

    mazbūt havāla hai rivāyāt dariyā

    ek mauj-e-suKHan laya KHayalat ka dariya

    alfaz mein bahte hue jazbaat ka dariya

    ek shorish-e-paiham mein giraftar hai dil bhi

    andoh۔farozan hai siyah-raat ka dariya

    dar-pesh mujhe aise samundar ka safar hai

    jis mein mujhe laya hai ye haalat ka dariya

    bite hue lamhon ki hun taswir-e-shikasta

    aaina-e-shorida meri zat ka dariya

    shaalon mein lipaTti hui pur-haul fazaen

    sailab bula laya hai aafat ka dariya

    'uzma' meri tahzib ki pahchan yahi hai

    mazbut hawala hai riwayat ka dariya

    Source:

    اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 407)

      • Publisher: کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now