Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek mehrban ka sab se baDa Dar bhi main hi tha

Ahmad Sageer

ek mehrban ka sab se baDa Dar bhi main hi tha

Ahmad Sageer

MORE BYAhmad Sageer

    ik mehrbāñ sab se baḌā Dar bhī maiñ thā

    aur apnī āstīn ke andar bhī maiñ thā

    vo maiñ thā jo butoñ muḳhālif banā rahā

    jis ne unheñ tarāshā vo aazar bhī maiñ thā

    ye Thiik hai ki mujh pe qayāmat uThā.ī ga.ī

    lekin janāb hāsil-e-mahshar bhī maiñ thā

    mahtāb jabīn pe bose bhī mere the

    miTTī Dher ban ke zamīñ par bhī maiñ thā

    ik sūkhtī nadī duhā.ī thī merī aañkh

    us aañkh meñ biphartā samundar bhī maiñ thā

    maiñ apne pāniyoñ pe koī bulbula-sifat

    lauh-e-jahāñ pe harf-e-mukarrar bhī maiñ thā

    mujh pe bāda-mastī tohmat lagī thī aur

    ḳhum-ḳhāna-e-alast sāgar bhī maiñ thā

    sab-rangī-e-nashāt aalam merā vajūd

    yak-rangī-e-hayāt mehvar bhī maiñ thā

    ek mehrban ka sab se baDa Dar bhi main hi tha

    aur apni aastin ke andar bhi main hi tha

    wo main tha jo buton ka muKHalif bana raha

    jis ne unhen tarasha wo aazar bhi main hi tha

    ye Thik hai ki mujh pe qayamat uThai gai

    lekin janab hasil-e-mahshar bhi main hi tha

    mahtab ki jabin pe bose bhi mere the

    miTTi ka Dher ban ke zamin par bhi main hi tha

    ek sukhti nadi ki duhai thi meri aankh

    us aankh mein bipharta samundar bhi main hi tha

    main apne paniyon pe koi bulbula-sifat

    lauh-e-jahan pe harf-e-mukarrar bhi main hi tha

    mujh pe hi baada-masti ki tohmat lagi thi aur

    KHum-KHana-e-alast ka sagar bhi main hi tha

    sab-rangi-e-nashat ka aalam mera wajud

    yak-rangi-e-hayat ka mehwar bhi main hi tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now