ek mohabbat ke hawale se mujhe jaante hain
ik mohabbat ke havāle se mujhe jānte haiñ
vo sabhī log jo achchhe se mujhe jānte haiñ
'aam logoñ meñ udāsī hai ta'āruf merā
aur shā'ir mire lahje se mujhe jānte haiñ
sone vāloñ se bhī nisbat koī hogī merī
jāgne vaale to girye se mujhe jānte haiñ
sab ne rakkhī huī hai koī nishānī merī
jaise kuchh aañkh ke halqe se mujhe jānte haiñ
maiñ kisī aur ta'alluq se unheñ dekhtā huuñ
vo kisī aur 'ilāqe se mujhe jānte haiñ
sach to ye hai ki mujhe log nahīñ jaan sake
ḳhaas kar jo baḌe dā've se mujhe jānte haiñ
ek mohabbat ke hawale se mujhe jaante hain
wo sabhi log jo achchhe se mujhe jaante hain
'am logon mein udasi hai ta'aruf mera
aur sha'ir mere lahje se mujhe jaante hain
sone walon se bhi nisbat koi hogi meri
jagne wale to girye se mujhe jaante hain
sab ne rakkhi hui hai koi nishani meri
jaise kuchh aankh ke halqe se mujhe jaante hain
main kisi aur ta'alluq se unhen dekhta hun
wo kisi aur 'ilaqe se mujhe jaante hain
sach to ye hai ki mujhe log nahin jaan sake
KHas kar jo baDe da'we se mujhe jaante hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.