Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek nae azm se yaran-e-subuk-gam chale

Muslim Maleganwi

ek nae azm se yaran-e-subuk-gam chale

Muslim Maleganwi

MORE BYMuslim Maleganwi

    ik na.e 'azm se yārān-e-subuk-gām chale

    ġham ke saa.e meñ bhī paate hue ārām chale

    ye tamāshā ho kisī din to baḌā kaam chale

    vo udhar nikleñ idhar gardish-e-ayyām chale

    sāqiyā kis liye mahrūm mai-āshām chale

    mai-e-tāza na sahī durd-e-tah-e-jām chale

    shahr meñ aaj nahīñ hai mire qātil javāb

    zulm 'umr baḌhe jor hangām chale

    dosto kuchh to izāla ho pareshānī

    aaj phir tazkira-e-zulf-e-siyah-fām chale

    ham bhī samjhe hue baiThe haiñ havā ke ruḳh ko

    zor kab tak tirā ai gardish-e-ayyām chale

    kāmyābī rah-e-maqsūd meñ hai 'azm baat

    kaam hausla kuchh ho to baḌā kaam chale

    na sila mehr-o-vafā na mohabbat javāb

    haa.e vo shahr-e-nigārāñ se jo nākām chale

    aah sayyād ne kyā ḳhuub havā bāñdhī hai

    ḳhud murġhān-e-chaman khiñch ke tah-e-dām chale

    haar kar raah meñ kyoñ baiTh rahe ho yaaro

    jis ko chalnā har mire saath vo do-gām chale

    hai ye ḳhāsān-e-mohabbat hamesha se shi'ār

    jab chale chhoḌ ke vo shāhrah-e-ām chale

    zindagī ke liye kyā kyā hai musībat darpesh

    zindagī ḳhud musībat ho to kyā kaam chale

    kyā ab uktā gayā 'ishq-e-butāñ se 'muslim'

    aaj hazrat ye kidhar bāñdh ke ehrām chale

    ek nae 'azm se yaran-e-subuk-gam chale

    gham ke sae mein bhi pate hue aaram chale

    ye tamasha ho kisi din to baDa kaam chale

    wo udhar niklen idhar gardish-e-ayyam chale

    saqiya kis liye mahrum mai-asham chale

    mai-e-taza na sahi durd-e-tah-e-jam chale

    shahr mein aaj nahin hai mere qatil ka jawab

    zulm ki 'umr baDhe jor ka hangam chale

    dosto kuchh to izala ho pareshani ka

    aaj phir tazkira-e-zulf-e-siyah-fam chale

    hum bhi samjhe hue baiThe hain hawa ke ruKH ko

    zor kab tak tera ai gardish-e-ayyam chale

    kaamyabi rah-e-maqsud mein hai 'azm ki baat

    kaam ka hausla kuchh ho to baDa kaam chale

    na sila mehr-o-wafa ka na mohabbat ka jawab

    hae wo shahr-e-nigaran se jo nakaam chale

    aah sayyaad ne kya KHub hawa bandhi hai

    KHud hi murghan-e-chaman khinch ke tah-e-dam chale

    haar kar rah mein kyon baiTh rahe ho yaro

    jis ko chalna har mere sath wo do-gam chale

    hai ye KHasan-e-mohabbat ka hamesha se shi'ar

    jab chale chhoD ke wo shahrah-e-am chale

    zindagi ke liye kya kya hai musibat darpesh

    zindagi KHud hi musibat ho to kya kaam chale

    kya ab ukta gaya ji 'ishq-e-butan se 'muslim'

    aaj hazrat ye kidhar bandh ke ehram chale

    Source:

    Hazar Anjum (Pg. 385)

    • Author: Muslim Maleganwi
      • Publisher: Hasan Danish
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now