Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek nae shahr-e-KHush-asar ki bimari hai

Salim Saleem

ek nae shahr-e-KHush-asar ki bimari hai

Salim Saleem

MORE BYSalim Saleem

    ik na.e shahr-e-ḳhush-āsār bīmārī hai

    dasht meñ bhī dar-o-dīvār bīmārī hai

    ek maut bhalā kise kare us ilaaj

    zindagānī hai ki sau baar bīmārī hai

    bas isī vaj.h se qaa.em hai mirī sehat-e-ishq

    ye jo mujh ko tere dīdār bīmārī hai

    log iqrār karāne pe tule haiñ ki mujhe

    apne aap se inkār bīmārī hai

    ye jo zaḳhmoñ tarah lafz mahak uThte haiñ

    sirf ik sūrat-e-iz.hār bīmārī hai

    ghar meñ rakhtā huuñ agar shor machātī hai bahut

    merī tanhā.ī ko bāzār bīmārī hai

    ek nae shahr-e-KHush-asar ki bimari hai

    dasht mein bhi dar-o-diwar ki bimari hai

    ek hi maut bhala kise kare us ka ilaj

    zindagani hai ki sau bar ki bimari hai

    bas isi wajh se qaem hai meri sehat-e-ishq

    ye jo mujh ko tere didar ki bimari hai

    log iqrar karane pe tule hain ki mujhe

    apne hi aap se inkar ki bimari hai

    ye jo zaKHmon ki tarah lafz mahak uThte hain

    sirf ek surat-e-izhaar ki bimari hai

    ghar mein rakhta hun agar shor machati hai bahut

    meri tanhai ko bazar ki bimari hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Salim Saleem

    Salim Saleem

    Source:

    Wahima Vajood Ka (Pg. 45)

    • Author: Salim Saleem
      • Edition: 2nd
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2022

    Source:

    Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 47)

    • Author: Salim Saleem
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2017
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now