Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek naqsh-e-KHayal ru-ba-ru hai

Muztar Khairabadi

ek naqsh-e-KHayal ru-ba-ru hai

Muztar Khairabadi

MORE BYMuztar Khairabadi

    ik naqsh-e-ḳhayāl rū-ba-rū hai

    jo kuchh hai ye kuchh nahīñ hai hai

    har phuul ke saath ek kāñTā

    har dost ke saath ik adū hai

    dil hai to hazār tujh se achchhe

    aisā to ik baḌā vo hai

    dushman ke jigar ḳhaar maiñ huuñ

    aur us ke gale haar hai

    dāman jo hai parda-dār-e-vahshat

    is meñ bhī ka.ī jagah rafū hai

    maiñ aap aap ro rahā huuñ

    kuchh aap aap guftugū hai

    mahshar meñ kisī haa.e kahnā

    ab aap ke haath aabrū hai

    o ġhair ko aañkh dene vaale

    'muztar' bhī nigāh-e-rū-ba-rū hai

    ek naqsh-e-KHayal ru-ba-ru hai

    jo kuchh hai ye kuchh nahin hai tu hai

    har phul ke sath ek kanTa

    har dost ke sath ek adu hai

    dil hai to hazar tujh se achchhe

    aisa hi to ek baDa wo tu hai

    dushman ke jigar ka KHar main hun

    aur us ke gale ka haar tu hai

    daman jo hai parda-dar-e-wahshat

    is mein bhi kai jagah rafu hai

    main aap hi aap ro raha hun

    kuchh aap hi aap guftugu hai

    mahshar mein kisi ka hae kahna

    ab aap ke hath aabru hai

    o ghair ko aankh dene wale

    'muztar' bhi nigah-e-ru-ba-ru hai

    Source:

    Khirman (Part-1) (Pg. 427)

    • Author: Muztar Khairabadi
      • Edition: 2015
      • Publisher: Javed Akhtar
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now