ek nazar mujhko dekhta bhi nahin
ik nazar mujh ko dekhtā bhī nahīñ
vo ḳhafā ho to kuchh gila bhī nahīñ
kis qadar merī zaat hai tanhā
aur mujh se koī judā bhī nahīñ
bujhā jaatā hai bār-bār charāġh
tez kuchh is qadar havā bhī nahīñ
rāste meñ paḌī hai laash mirī
koī is samt dekhtā bhī nahīñ
sāmne rāsta 'adam kā hai
aur koī 'zeb' rāsta bhī nahīñ
ek nazar mujh ko dekhta bhi nahin
wo KHafa ho to kuchh gila bhi nahin
kis qadar meri zat hai tanha
aur mujh se koi juda bhi nahin
bujha jata hai bar-bar charagh
tez kuchh is qadar hawa bhi nahin
raste mein paDi hai lash meri
koi is samt dekhta bhi nahin
samne rasta 'adam ka hai
aur koi 'zeb' rasta bhi nahin
- Book : Dheemi Aanch ka Sitaara (Pg. 68)
- Author : Zeb Ghauri
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.