ek pal ki zindagi hai zara muskuraiye
ik pal kī zindagī hai zarā muskurā.iye
mohlat yahī milī hai zarā muskurā.iye
'izzat kareñ sabhī kī agar aadmī haiñ aap
is meñ ḳhushī chhupī hai zarā muskurā.iye
aane na dījiye kabhī palkoñ pe ashk aap
hañsnā hī zindagī hai zarā muskurā.iye
taqdīr lene aa.ī hai himmat kā imtihān
kis baat kī kamī hai zarā muskurā.iye
'shambhū' jī aap ko to milī ḳhuub raushnī
har samt dilkashī hai zarā muskurā.iye
ek pal ki zindagi hai zara muskuraiye
mohlat yahi mili hai zara muskuraiye
'izzat karen sabhi ki agar aadmi hain aap
is mein KHushi chhupi hai zara muskuraiye
aane na dijiye kabhi palkon pe ashk aap
hansna hi zindagi hai zara muskuraiye
taqdir lene aai hai himmat ka imtihan
kis baat ki kami hai zara muskuraiye
'shambhu' ji aap ko to mili KHub raushni
har samt dilkashi hai zara muskuraiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.