ek safar ka nishan baqi hai
ik safar kā nishān baaqī hai
dasht meñ kārvān baaqī hai
phailne ko hai sansanī koī
baiThiye dāstān baaqī hai
saḳht ḳhatra hai mujh ko dushman se
merā ik rāz-dān baaqī hai
is tasalsul se us ko dekhā thā
aañkh meñ bhī thakān baaqī hai
kyā nayā 'ishq ho ki dil meñ dost
ḳhvāhish-e-raftagān baaqī hai
ġhair se rabt be-ruḳhī duurī
kaun sā imtihān baaqī hai
shukr lāzim hai ai zamīñ-zādo
sar pe gar āsmān baaqī hai
ek safar ka nishan baqi hai
dasht mein karwan baqi hai
phailne ko hai sansani koi
baiThiye dastan baqi hai
saKHt KHatra hai mujh ko dushman se
mera ek raaz-dan baqi hai
is tasalsul se us ko dekha tha
aankh mein bhi thakan baqi hai
kya naya 'ishq ho ki dil mein dost
KHwahish-e-raftagan baqi hai
ghair se rabt be-ruKHi duri
kaun sa imtihan baqi hai
shukr lazim hai ai zamin-zado
sar pe gar aasman baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.