Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek sahra mein jaane kitne log hamare chhuT gae

Asif Bilal

ek sahra mein jaane kitne log hamare chhuT gae

Asif Bilal

MORE BYAsif Bilal

    ik sahrā meñ jaane kitne log hamāre chhūT ga.e

    tab se aisā lagtā hai ki saare sahāre chhūT ga.e

    kis dukh par ham Tuut ke ro.eñ kaun qissa batlā.eñ

    aap faqat bas itnā jāneñ jaan se pyāre chhūT ga.e

    in zaḳhmoñ marham le kar chaar masīhā aa.e the

    is vahshat tārīkī meñ sab bechāre chhūT ga.e

    hijrat vaalī raat balā dard sameTe hotī hai

    un se kar pūchho jin ke rāj-dulāre chhūT ga.e

    ik sāhir se rozāna maiñ is zid pe aḌ jaatā huuñ

    vo nāTak dikhlāo jis meñ chāñd sitāre chhūT ga.e

    kuchh saudāgar roz hamāre dard gāhak bante the

    is chakkar meñ jaane kitne hausla haare chhūT ga.e

    rafta-rafta 'āsif' ke sab yaar bichhaḌte jaate haiñ

    pichhle shab ḳhvāb meñ bhī kuchh dard ke maare chhūT ga.e

    ek sahra mein jaane kitne log hamare chhuT gae

    tab se aisa lagta hai ki sare sahaare chhuT gae

    kis dukh par hum Tut ke roen kaun sa qissa batlaen

    aap faqat bas itna jaanen jaan se pyare chhuT gae

    in zaKHmon ka marham le kar chaar masiha aae the

    is wahshat ki tariki mein sab bechaare chhuT gae

    hijrat wali raat bala ka dard sameTe hoti hai

    un se ja kar puchho jin ke raj-dulare chhuT gae

    ek sahir se rozana main is zid pe aD jata hun

    wo naTak dikhlao jis mein chand sitare chhuT gae

    kuchh saudagar roz hamare dard ka gahak bante the

    is chakkar mein jaane kitne hausla haare chhuT gae

    rafta-rafta 'asif' ke sab yar bichhaDte jate hain

    pichhle shab ki KHwab mein bhi kuchh dard ke mare chhuT gae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now