Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek shahzada bhes badal kar aise mahal mein aata hai

Rehana Nawab

ek shahzada bhes badal kar aise mahal mein aata hai

Rehana Nawab

MORE BYRehana Nawab

    ik shahzāda bhes badal kar aise mahal meñ aatā hai

    zikr tumhārā jaise jānāñ merī ġhazal meñ aatā hai

    hairāñ hairāñ khoyā khoyā pāgal pāgal be-kal

    jaane kis ko DhūñDne chandā jhiil ke jal meñ aatā hai

    āñkhoñ meñ dīdār kājal maiñ bhī lagā kar jaatī huuñ

    vo bhī aksar DhūñDne mujh ko tāj-mahal meñ aatā hai

    gaahe amāvas rātoñ meñ gaahe chāñdnī rātoñ meñ

    ik ġhamgīñ afsurda saaya shīsh-mahal meñ aatā hai

    jaane kahāñ se itne parinde shāḳhoñ par aa jaate haiñ

    khaTTā-mīThā albelā ras jūñ-hī phal meñ aatā hai

    jis ko sun kar dil bhar aa.e āñkheñ bhī nam ho jaa.eñ

    aise sheroñ shirkat se husn ġhazal meñ aatā hai

    aa 'rehāna' us se pūchheñ maazī rūdād-e-hasīñ

    jo chhoTī kashtī le kar shaam ko Dal meñ aatā hai

    ek shahzada bhes badal kar aise mahal mein aata hai

    zikr tumhaara jaise jaanan meri ghazal mein aata hai

    hairan hairan khoya khoya pagal pagal be-kal sa

    jaane kis ko DhunDne chanda jhil ke jal mein aata hai

    aankhon mein didar ka kajal main bhi laga kar jati hun

    wo bhi aksar DhunDne mujh ko taj-mahal mein aata hai

    gahe amawas ki raaton mein gahe chandni raaton mein

    ek ghamgin afsurda saya shish-mahal mein aata hai

    jaane kahan se itne parinde shaKHon par aa jate hain

    khaTTa-miTha albela ras jun-hi phal mein aata hai

    jis ko sun kar dil bhar aae aankhen bhi nam ho jaen

    aise sheron ki shirkat se husn ghazal mein aata hai

    aa 'rehana' us se puchhen mazi ki rudad-e-hasin

    jo chhoTi si kashti le kar sham ko Dal mein aata hai

    Source:

    Shahr Shahr Numaish (Pg. 46)

    • Author: Rehana Nawab
      • Publisher: Gulistan Publications, Kolkata
      • Year of Publication: 2013
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now