Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek shajar hai la-fana jis ki jaDen hain sanglaKH

Sahir Dehlavi

ek shajar hai la-fana jis ki jaDen hain sanglaKH

Sahir Dehlavi

MORE BYSahir Dehlavi

    ik shajar hai lā-fanā jis jaḌeñ haiñ sanglāḳh

    jaḌ hai uupar aur hai nīche jānib jis shāḳh

    barg jis ke diid haiñ mahram hai jis dīd-dāñ

    hai sifat jis tanā jis se harī hai shāḳh shāḳh

    jis shāḳhoñ ke shagūfe hiss-o-mahsūsāt haiñ

    beḳh-e-āvezāñ hai dām-e-amal dāman farāḳh

    jo shajar hai lā-makānī ġhair mutshakkil qadīm

    qat' karnā lāzmī hai jis bekH-e-sanglāḳh

    teġh se tajrīd ke le kaam ho fāriġh-nashīñ

    asl meñ ho vasl haiñ sab far-e-ġhuncha barg-o-shāḳh

    farz hai ye kar adā-e-farz be-bīm-o-rajā

    dekh 'sāhir' sar-zamīn-e-ishq hai kyā sanglāḳh

    ek shajar hai la-fana jis ki jaDen hain sanglaKH

    jaD hai upar aur hai niche ki jaanib jis ki shaKH

    barg jis ke did hain mahram hai jis ka did-dan

    hai sifat jis ka tana jis se hari hai shaKH shaKH

    jis ki shaKHon ke shagufe hiss-o-mahsusat hain

    beKH-e-awezan ka hai dam-e-amal daman faraKH

    jo shajar hai la-makani ghair mutshakkil qadim

    qat' karna lazmi hai jis ki bekH-e-sanglaKH

    tegh se tajrid ke le kaam ho farigh-nashin

    asl mein ho wasl hain sab far-e-ghuncha barg-o-shaKH

    farz hai ye kar ada-e-farz be-bim-o-raja

    dekh 'sahir' sar-zamin-e-ishq hai kya sanglaKH

    Source:

    Deewan-e-Sahir( Kufr-e-Ishq) (Pg. ebook-91 page-38)

    • Author: Sahir Dehlavi
      • Edition: 1937
      • Publisher: Imperial Printing Press, Delhi
      • Year of Publication: 1937
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now