Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek shajar ki Tahniyon par chand rozana chaDhe

Miraash

ek shajar ki Tahniyon par chand rozana chaDhe

Miraash

MORE BYMiraash

    ik shajar Tahniyoñ par chāñd rozāna chaḌhe

    jaise dīvār-e-junūñ par koī dīvāna chaḌhe

    dil pe aise ik ġhazal kaifiyat taarī huī

    jaise ghar chhat pe koī shaḳhs an-jānā chaḌhe

    ik badan bandishoñ ne bāñdh rūheñ tamām

    jaise pān.cho uñgliyoñ par ek dastāna chaḌhe

    roz-marra zindagī kirdār vaise ji.eñ

    aur puurī ziist par poshāk-e-afsāna chaḌhe

    DhūñDhne ik āftāb-e-sher niklā hai ‘mirāsh’

    dekhnā hai kis bulandī tak ye parvāna chaḌhe

    ek shajar ki Tahniyon par chand rozana chaDhe

    jaise diwar-e-junun par koi diwana chaDhe

    dil pe aise ek ghazal ki kaifiyat tari hui

    jaise ghar ki chhat pe koi shaKHs an-jaana chaDhe

    ek badan ki bandishon ne bandh li ruhen tamam

    jaise pancho ungliyon par ek dastana chaDhe

    roz-marra zindagi kirdar waise hi jien

    aur puri zist par poshak-e-afsana chaDhe

    DhunDhne ek aaftab-e-sher nikla hai ‘mirash’

    dekhna hai kis bulandi tak ye parwana chaDhe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now