Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek shaKHs apne hath ki tahrir de gaya

Asghar Rahi

ek shaKHs apne hath ki tahrir de gaya

Asghar Rahi

MORE BYAsghar Rahi

    ik shaḳhs apne haath tahrīr de gayā

    jaise mirā navishta-e-taqdīr de gayā

    ik dost mere qalb tālīf ke liye

    kuchh zahr meñ bujhā.e hue tiir de gayā

    barsoñ ke ba.ad us se mulāqāt jab huī

    biite dinoñ chand tasāvīr de gayā

    ghere hue thī mujh ko shab-e-ġham tīrgī

    vo muskurā ke sub.h tanvīr de gayā

    chupke se raat aa ke mire ghar ke sahn meñ

    ik chāñd mere ḳhvāb ta.abīr de gayā

    maiñ apne e'timād ehsānmand huuñ

    mujh ko zamāne bhar meñ jo tauqīr de gayā

    vo kaun thā kahāñ thā kyā us naam thā

    'rāhī' jo tere sheroñ ko tāsīr de gayā

    ek shaKHs apne hath ki tahrir de gaya

    jaise mera nawishta-e-taqdir de gaya

    ek dost mere qalb ki talif ke liye

    kuchh zahr mein bujhae hue tir de gaya

    barson ke baad us se mulaqat jab hui

    bite dinon ki chand tasawir de gaya

    ghere hue thi mujh ko shab-e-gham ki tirgi

    wo muskura ke subh ki tanwir de gaya

    chupke se raat aa ke mere ghar ke sahn mein

    ek chand mere KHwab ki tabir de gaya

    main apne e'timad ka ehsanmand hun

    mujh ko zamane bhar mein jo tauqir de gaya

    wo kaun tha kahan ka tha kya us ka nam tha

    'rahi' jo tere sheron ko tasir de gaya

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now