Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek shor sameTo jiwan bhar aur chup dariya mein utar jao

Sabir Waseem

ek shor sameTo jiwan bhar aur chup dariya mein utar jao

Sabir Waseem

MORE BYSabir Waseem

    ik shor sameTo jīvan bhar aur chup dariyā meñ utar jaao

    duniyā ne tum ko tanhā kiyā tum is ko tanhā kar jaao

    is hijr o visāl ke biich kahīñ ik lamhe ko chāhtā hai

    bas abr-o-havā ke saath phiro aur jism o jaañ se guzar jaao

    tum reza reza ho kar bhī jo ḳhud ko sameTe phirte ho

    so ab ke havā pazhmurda hai is baar zarā bikhar jaao

    jañgal ghanerā añdhiyārā ab aan basā hai shahroñ meñ

    in shahroñ ko yūñhī rahnā hai ab zinda raho mar jaao

    ik tārīk havā jhoñkā ruk ke ye mujh se kahtā hai

    ye raushan galiyāñ jhūTī haiñ tum 'sābir' apne ghar jaao

    ek shor sameTo jiwan bhar aur chup dariya mein utar jao

    duniya ne tum ko tanha kiya tum is ko tanha kar jao

    is hijr o visal ke bich kahin ek lamhe ko ji chahta hai

    bas abr-o-hawa ke sath phiro aur jism o jaan se guzar jao

    tum reza reza ho kar bhi jo KHud ko sameTe phirte ho

    so ab ke hawa pazhmurda hai is bar zara sa bikhar jao

    jangal ka ghanera andhiyara ab aan basa hai shahron mein

    in shahron ko yunhi rahna hai ab zinda raho ya mar jao

    ek tarik hawa ka jhonka ruk ke ye mujh se kahta hai

    ye raushan galiyan jhuTi hain tum 'sabir' apne ghar jao

    Source:

    siip-volume-47 (Pg. 48)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now