ek siyah raat aane wali hai
ik siyah raat aane vaalī hai
tum ne kuchh raushnī bachā lī hai
kis kī jholī meñ bhiik Dāleñ ham
jis ko dekho vahī savālī hai
keh rahī hai sadā anal-haq kī
zindagī maut ne sañbhālī hai
zindagī itnā falsafa hai tirā
haath ḳhālī thā haath ḳhālī hai
jo jalātā hai diip ulfat ke
us kī har roz yaañ divālī hai
keh rahā hai charāġh muflis se
zindagī raat se bhī kaalī hai
bas usī se 'vasīm' māñgā kar
us ne kab kis kī baat Taalī hai
ek siyah raat aane wali hai
tum ne kuchh raushni bacha li hai
kis ki jholi mein bhik Dalen hum
jis ko dekho wahi sawali hai
keh rahi hai sada anal-haq ki
zindagi maut ne sanbhaali hai
zindagi itna falsafa hai tera
hath KHali tha hath KHali hai
jo jalata hai dip ulfat ke
us ki har roz yan diwali hai
keh raha hai charagh muflis se
zindagi raat se bhi kali hai
bas usi se 'wasim' manga kar
us ne kab kis ki baat Tali hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.