Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek talatum sa hai har samt tamannaon ka

Mohsin Ehsan

ek talatum sa hai har samt tamannaon ka

Mohsin Ehsan

MORE BYMohsin Ehsan

    ik talātum hai har samt tamannāoñ

    dil pe hotā hai gumāñ shahr hai dariyāoñ

    bhī ik baar mirī ruuh ke ā.īne meñ

    jhāñk kar dekh taqaddus hai kalīsāoñ

    haañ magar qatl-gah-e-shauq meñ kuchh aur bhī the

    haath kyuuñ mujh pe uThā mere masīhāoñ

    ab ke ghanghor ghaTā khul ke jo barse bhī to kyā

    dhuup ne rañg kajlā diyā sahrāoñ

    ab sar-e-dasht-e-ḳhud-ārā.ī khaḌā huuñ tanhā

    maiñ ki dūlhā thā kabhī anjuman-ārāoñ

    'mohsin'-ehsān is sāda-dilī ke sadqe

    dhuup meñ DhūñDhtā phirtā hai mazā chhāñv

    ek talatum sa hai har samt tamannaon ka

    dil pe hota hai guman shahr hai dariyaon ka

    tu bhi ek bar meri ruh ke aaine mein

    jhank kar dekh taqaddus hai kalisaon ka

    han magar qatl-gah-e-shauq mein kuchh aur bhi the

    hath kyun mujh pe uTha mere masihaon ka

    ab ke ghanghor ghaTa khul ke jo barse bhi to kya

    dhup ne rang hi kajla diya sahraon ka

    ab sar-e-dasht-e-KHud-arai khaDa hun tanha

    main ki dulha tha kabhi anjuman-araon ka

    'mohsin'-ehsan ki is sada-dili ke sadqe

    dhup mein DhunDhta phirta hai maza chhanw ka

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 626)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now