Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek taraf wo fikr-e-farda zehn parchhai hui

Adeel Shakir

ek taraf wo fikr-e-farda zehn parchhai hui

Adeel Shakir

MORE BYAdeel Shakir

    ik taraf vo fikr-e-fardā zehn parchhā.ī huī

    ik taraf ye zindagī yādoñ Thahrā.ī huī

    laakh koshish na baḌh pā.īñ diloñ ranjisheñ

    par kahāñ ruktī hai shīshe meñ darāḌ aa.ī huī

    sard rātoñ fazā meñ garm rakhtī hai mujhe

    shaal maañ ke kāñpte hāthoñ pahnā.ī huī

    le uḌī hai terī sāñsoñ mahak shāyad havā

    kyā sabab varna ki yuuñ phirtī hai itrā.ī huī

    vo ḳhushī ke roz-o-shab hoñ ki 'shākir' ġham daur

    kaifiyat vo bhalī hai ho jo raas aa.ī huī

    ek taraf wo fikr-e-farda zehn parchhai hui

    ek taraf ye zindagi yaadon ki Thahrai hui

    lakh koshish ki na baDh pain dilon ki ranjishen

    par kahan rukti hai shishe mein daraD aai hui

    sard raaton ki faza mein garm rakhti hai mujhe

    shaal man ke kanpte hathon ki pahnai hui

    le uDi hai teri sanson ki mahak shayad hawa

    kya sabab warna ki yun phirti hai itrai hui

    wo KHushi ke roz-o-shab hon ya ki 'shakir' gham ka daur

    kaifiyat wo hi bhali hai ho jo ras aai hui

    Source :
    • Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 612)
    • Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now