ek tasawwur ki zamin KHub hari rahti hai
ik tasavvur kī zamīñ ḳhuub harī rahtī hai
kyūñki bīnā.iyoñ meñ ek nadī rahtī hai
us ke alfāz ishāroñ kī tarah hote haiñ
us kī har baat to har samt khulī rahtī hai
log māneñge use us kī nahīñ māneñge
jis kī tasvīr divāroñ pe Tañgī rahtī hai
yaar ye zaḳhm kisī taur nahīñ jaatā hai
dil kī har vaqt yahāñ god bharī rahtī hai
mere bāhar koī laḌkā hai bahut hañstā hai
mere andar koī aurat hai dukhī rahtī hai
ek tasawwur ki zamin KHub hari rahti hai
kyunki binaiyon mein ek nadi rahti hai
us ke alfaz ishaaron ki tarah hote hain
us ki har baat to har samt khuli rahti hai
log manenge use us ki nahin manenge
jis ki taswir diwaron pe Tangi rahti hai
yar ye zaKHm kisi taur nahin jata hai
dil ki har waqt yahan god bhari rahti hai
mere bahar koi laDka hai bahut hansta hai
mere andar koi aurat hai dukhi rahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.