Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek tir nahin kya teri mizhgan ki safon mein

Tauseef Tabassum

ek tir nahin kya teri mizhgan ki safon mein

Tauseef Tabassum

MORE BYTauseef Tabassum

    ik tiir nahīñ kyā tirī mizhgāñ safoñ meñ

    bah jaa.eñ lahū ban ke ye hasrat hai diloñ meñ

    dariyā ho to maujoñ meñ khule is sarāpā

    pāgal hai havā chīḳhtī phirtī hai banoñ meñ

    teshe sadā merī fariyād thī goyā

    merī tarah thā koī patthar siloñ meñ

    yuuñ aaj phir ik hasrat-e-nākām pe ro.e

    jaise na the pahle kabhī āzurda-diloñ meñ

    ab sub.h se tā-shām hai sadiyoñ masāfat

    har lamha-e-be-qaid hai zanjīr dinoñ meñ

    rastoñ pe umaDtā huā phūloñ samundar

    hairān huuñ kis tarah samāyā hai gharoñ meñ

    kheñchā thā junūñ ne jise dāmān-e-havā par

    dekhā to vahī shakl hai miTTī tahoñ meñ

    kyā Thereñ qadam dasht-e-navardān-e-vafā ke

    kāñTā to nahīñ paañv meñ saudā hai saroñ meñ

    tausīf vo yādoñ dhuāñ hai ki sar-e-bazm

    chehre nazar aate haiñ charāġhoñ lavoñ meñ

    ek tir nahin kya teri mizhgan ki safon mein

    bah jaen lahu ban ke ye hasrat hai dilon mein

    dariya ho to maujon mein khule is ka sarapa

    pagal hai hawa chiKHti phirti hai banon mein

    teshe ki sada meri hi fariyaad thi goya

    meri hi tarah tha koi patthar ki silon mein

    yun aaj phir ek hasrat-e-nakaam pe roe

    jaise na the pahle kabhi aazurda-dilon mein

    ab subh se ta-sham hai sadiyon ki masafat

    har lamha-e-be-qaid hai zanjir dinon mein

    raston pe umaDta hua phulon ka samundar

    hairan hun kis tarah samaya hai gharon mein

    khencha tha junun ne jise daman-e-hawa par

    dekha to wahi shakl hai miTTi ki tahon mein

    kya Theren qadam dasht-e-nawardan-e-wafa ke

    kanTa to nahin panw mein sauda hai saron mein

    tausif wo yaadon ka dhuan hai ki sar-e-bazm

    chehre nazar aate hain charaghon ki lawon mein

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 661)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now