Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek tere sath wafa karne ki tayyari mein

Haris Bilal

ek tere sath wafa karne ki tayyari mein

Haris Bilal

MORE BYHaris Bilal

    ik tire saath vafā karne tayyārī meñ

    din guzarte rahe auroñ vafādārī meñ

    mere hone pe hai ehsās-e-ḳhudā buniyād

    ḳhaak honā zarūrī hai shajar-kārī meñ

    shāḳh se shāḳh lipaTtī hai havā chalne par

    sar pe chhat aam nazar aatī nahīñ yaarī meñ

    kahīñ aisā na ho bulbul nazar bhī paḌ jaa.e

    phuul ne phuul ko dekhā nahīñ hushyārī meñ

    kun haTā aur faya-kun koī matlab na rahā

    ye anā hotī hai fankār fankārī meñ

    tujh ko tartīb lagāte hue is dhyān meñ huuñ

    kaun dukh hai jo rakkhā nahīñ almārī meñ

    ek tere sath wafa karne ki tayyari mein

    din guzarte rahe auron ki wafadari mein

    mere hone pe hai ehsas-e-KHuda ki buniyaad

    KHak ka hona zaruri hai shajar-kari mein

    shaKH se shaKH lipaTti hai hawa chalne par

    sar pe chhat aam nazar aati nahin yari mein

    kahin aisa na ho bulbul ki nazar bhi paD jae

    phul ne phul ko dekha nahin hushyari mein

    kun haTa aur faya-kun ka koi matlab na raha

    ye ana hoti hai fankar ki fankari mein

    tujh ko tartib lagate hue is dhyan mein hun

    kaun sa dukh hai jo rakkha nahin almari mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now