Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek zara si dil ki hasrat tum se ulfat aur tum

Anjuman Mansury Arzoo

ek zara si dil ki hasrat tum se ulfat aur tum

Anjuman Mansury Arzoo

MORE BYAnjuman Mansury Arzoo

    ik zarā dil hasrat tum se ulfat aur tum

    bas hai itnī zarūrat thoḌī rāhat aur tum

    muddatoñ se muḳhtalif haiñ merī qismat aur tum

    kyoñ muqaddar meñ nahīñ tum se mohabbat aur tum

    ho bahut masrūf tum hai koī nārāzgī

    saath meñ milte nahīñ ab thoḌī fursat aur tum

    tum bichhaḌ kar bhī na mujh se ho sake pal-bhar judā

    mujh meñ baaqī hai tumhārī har ik aadat aur tum

    apne āñgan se nahīñ kuchh dūriyoñ se sahī

    hai mujhe hāsil tumhāre gul nik.hat aur tum

    huuñ baḌī mushkil meñ apne dil-makāñ ko dekh kar

    saath kaise rah sakeñge is meñ vahdat aur tum

    munhasir tum par hai mere dil har ik aarzū

    ek minnat ek jannat ek farhat aur tum

    ek zara si dil ki hasrat tum se ulfat aur tum

    bas hai itni si zarurat thoDi rahat aur tum

    muddaton se muKHtalif hain meri qismat aur tum

    kyon muqaddar mein nahin tum se mohabbat aur tum

    ho bahut masruf tum ya hai koi naraazgi

    sath mein milte nahin ab thoDi fursat aur tum

    tum bichhaD kar bhi na mujh se ho sake pal-bhar juda

    mujh mein baqi hai tumhaari har ek aadat aur tum

    apne aangan se nahin kuchh duriyon se hi sahi

    hai mujhe hasil tumhaare gul ki nikhat aur tum

    hun baDi mushkil mein apne dil-makan ko dekh kar

    sath kaise rah sakenge is mein wahdat aur tum

    munhasir tum par hai mere dil ki har ek aarzu

    ek minnat ek jannat ek farhat aur tum

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now