Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

iKHlas ki qadron ka sawali hai to la hath

Qazi Abdur Rauf Anjum

iKHlas ki qadron ka sawali hai to la hath

Qazi Abdur Rauf Anjum

MORE BYQazi Abdur Rauf Anjum

    iḳhlās qadroñ savālī hai to haath

    ham log isī shahr ke baasī haiñ milā haath

    logoñ ne sukūñ DhūñD liyā shahr meñ kar

    ham DhūñDne jaate haiñ to aatī hai balā haath

    dariyā ke talātum se taḌapne adā siikh

    jiinā hai to mañjdhār ke andar bhī hilā haath

    ruḳhsat huī fir.aun ke mahloñ se ḳhudā.ī

    niklā jo garebān se ik nuur bharā haath

    jiine tamanna thī ki thā āḳhirī paiġhām

    aatā thā nazar Dūbne vaale uThā haath

    lagtā hai ki mābain hai mīloñ masāfat

    thā us mirā fāsla bas haath savā haath

    tashkīk ke girdāb Dubote haiñ ilāhī

    DhūñDe hai tire haath ko aise meñ mirā haath

    'anjum' yahāñ saf-ārā haiñ jādūī sañpole

    jiinā hai to kar sehr-shikan ek asā haath

    iKHlas ki qadron ka sawali hai to la hath

    hum log isi shahr ke basi hain mila hath

    logon ne sukun DhunD liya shahr mein ja kar

    hum DhunDne jate hain to aati hai bala hath

    dariya ke talatum se taDapne ki ada sikh

    jina hai to manjdhaar ke andar bhi hila hath

    ruKHsat hui firaun ke mahlon se KHudai

    nikla jo gareban se ek nur bhara hath

    jine ki tamanna thi ki tha aaKHiri paigham

    aata tha nazar Dubne wale ka uTha hath

    lagta hai ki mabain hai milon ki masafat

    tha us ka mera fasla bas hath sawa hath

    tashkik ke girdab Dubote hain ilahi

    DhunDe hai tere hath ko aise mein mera hath

    'anjum' yahan saf-ara hain jadui sanpole

    jina hai to kar sehr-shikan ek asa hath

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 151)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now