Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

iklauti jagir ko takte takte thak kar so jate hain

Shabbeer Ehram

iklauti jagir ko takte takte thak kar so jate hain

Shabbeer Ehram

MORE BYShabbeer Ehram

    iklautī jāgīr ko takte takte thak kar so jaate haiñ

    ham terī tasvīr ko takte takte thak kar so jaate haiñ

    baiThe baiThe āzādī ke ḳhvāb sajāte rahte haiñ phir

    pairoñ zanjīr ko takte takte thak kar so jaate haiñ

    kāġhaz par pechīda misroñ bhar-mār lagā dete haiñ

    phir dīvān-e-mīr ko takte takte thak kar so jaate haiñ

    apne tiir kamān ke chhin jaane girya karne vaale

    auroñ shamshīr ko takte takte thak kar so jaate haiñ

    daur-e-jadīd hai saare rāñjhe apne apne mobile par

    apnī apnī hiir ko takte takte thak kar so jaate haiñ

    din bhar saḌkoñ par injīreñ bechne vaale bhūke bachche

    raat ga.e injīr ko takte takte thak kar so jaate haiñ

    'ġhālib' ġhazleñ paḌhte haiñ 'zauq' se shikva karte haiñ

    'saudā' aur 'dabīr' ko takte takte thak kar so jaate haiñ

    chhoTī chhoTī bātoñ par yuuñ ḳhuun ḳharāba ho jaatā hai

    ham 'ehrām' zamīr ko takte takte thak kar so jaate haiñ

    iklauti jagir ko takte takte thak kar so jate hain

    hum teri taswir ko takte takte thak kar so jate hain

    baiThe baiThe aazadi ke KHwab sajate rahte hain phir

    pairon ki zanjir ko takte takte thak kar so jate hain

    kaghaz par pechida misron ki bhar-mar laga dete hain

    phir diwan-e-mir ko takte takte thak kar so jate hain

    apne tir kaman ke chhin jaane ka girya karne wale

    auron ki shamshir ko takte takte thak kar so jate hain

    daur-e-jadid hai sare ranjhe apne apne mobile par

    apni apni hir ko takte takte thak kar so jate hain

    din bhar saDkon par injiren bechne wale bhuke bachche

    raat gae injir ko takte takte thak kar so jate hain

    'ghaalib' ki ghazlen paDhte hain 'zauq' se shikwa karte hain

    'sauda' aur 'dabir' ko takte takte thak kar so jate hain

    chhoTi chhoTi baaton par yun KHun KHaraba ho jata hai

    hum 'ehram' zamir ko takte takte thak kar so jate hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now