Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ilahi koi hawa ka jhonka dikha de chehra uDa ke aanchal

Mirza Asman Jah Anjum

ilahi koi hawa ka jhonka dikha de chehra uDa ke aanchal

Mirza Asman Jah Anjum

MORE BYMirza Asman Jah Anjum

    ilāhī koī havā jhoñkā dikhā de chehra uḌā ke āñchal

    ki jhāñktā bhī hai vo sitam-gar to khaḌkhaḌī meñ lagā ke āñchal

    zarūr Dhā.egā koī aafat zarūr fitna bapā karegā

    ye terā aTkheliyoñ se chalnā jhukā ke gardan uThā ke āñchal

    jo tum ko manzūr hai phir aanā tumhīñ kaho phir ye kaisā jaanā

    jatā ke ġhussa sunā ke bāteñ chaḌhā ke tevarī chhuḌā ke āñchal

    zamāna furqat jaa.e yā-rab vo vaqt vo din bhī aa.e yā-rab

    adā karūñ maiñ tirā dogānā khaḌe raheñ vo bichhā ke āñchal

    zarūr haiñ kuchh na kuchh kashīda ki rahte haiñ duur duur ham se

    jo paas bhī aa ke baiThte haiñ to zer-e-zānū dabā ke āñchal

    tumheñ hai sāhib lihāz kis ye kosnā chupke chupke kaisā

    duā karūñ maiñ ragaḌ ke māthā kaho tum āmīn uThā ke āñchal

    tirā ye buuTā qad qayāmat pe chaal matvālī aafat aafat

    ye pyārī sūrat sitam dupaTTa ġhazab rañgat balā ke āñchal

    samajh le ye dil meñ 'āsmāñ' vo loT haiñ tere loTne par

    jo oḌh kar laTpaTā dupaTTa luTāte haiñ adbadā ke āñchal

    ilahi koi hawa ka jhonka dikha de chehra uDa ke aanchal

    ki jhankta bhi hai wo sitam-gar to khaDkhaDi mein laga ke aanchal

    zarur Dhaega koi aafat zarur fitna bapa karega

    ye tera aTkheliyon se chalna jhuka ke gardan uTha ke aanchal

    jo tum ko manzur hai phir aana tumhin kaho phir ye kaisa jaana

    jata ke ghussa suna ke baaten chaDha ke tewari chhuDa ke aanchal

    zamana furqat ka jae ya-rab wo waqt wo din bhi aae ya-rab

    ada karun main tera dogana khaDe rahen wo bichha ke aanchal

    zarur hain kuchh na kuchh kashida ki rahte hain dur dur hum se

    jo pas bhi aa ke baiThte hain to zer-e-zanu daba ke aanchal

    tumhein hai sahib lihaz kis ka ye kosna chupke chupke kaisa

    dua karun main ragaD ke matha kaho tum aamin uTha ke aanchal

    tera ye buTa sa qad qayamat pe chaal matwali aafat aafat

    ye pyari surat sitam dupaTTa ghazab ki rangat bala ke aanchal

    samajh le ye dil mein 'asman' tu wo loT hain tere loTne par

    jo oDh kar laTpaTa dupaTTa luTate hain adbada ke aanchal

    Source:

    Deewan-e-Anjum(website) (Pg. 85)

    • Author: Mirza Asman Jah Anjum
      • Edition: 1959
      • Publisher: Raja Ram Kumar Book Depot, Lucknow
      • Year of Publication: 1959
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now