Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ilm o fan ke raaz-e-sar-basta ko wa karta hua

Umair Manzar

ilm o fan ke raaz-e-sar-basta ko wa karta hua

Umair Manzar

MORE BYUmair Manzar

    ilm o fan ke rāz-e-sar-basta ko kartā huā

    vo mujhe jab bhī milā hai tarjuma kartā huā

    sirf ehsās-e-nadāmt ke sivā kuchh bhī nahīñ

    aur aisā bhī magar vo bār-hā kartā huā

    jaane kin hairāniyoñ meñ hai ki ik muddat se vo

    ā.īna-dar-ā.īna-dar-ā.īna kartā huā

    kyā qayāmat-ḳhez hai us sukūt-e-nāz bhī

    ek aalam ko magar vo lab-kushā kartā huā

    āgahī aaseb mānind raqsāñ har taraf

    maiñ ki har dām-e-shunīdan ko sadā kartā huā

    ek merī jaan ko andeshe sau sau tarah ke

    ek vo apne liye sab kuchh ravā kartā huā

    haal kyā pūchho ho 'manzar' vo dekho us taraf

    saarī duniyā se alag apnī sanā kartā huā

    ilm o fan ke raaz-e-sar-basta ko wa karta hua

    wo mujhe jab bhi mila hai tarjuma karta hua

    sirf ehsas-e-nadamt ke siwa kuchh bhi nahin

    aur aisa bhi magar wo bar-ha karta hua

    jaane kin hairaniyon mein hai ki ek muddat se wo

    aaina-dar-aina-dar-aina karta hua

    kya qayamat-KHez hai us ka sukut-e-naz bhi

    ek aalam ko magar wo lab-kusha karta hua

    aagahi aaseb ki manind raqsan har taraf

    main ki har dam-e-shunidan ko sada karta hua

    ek meri jaan ko andeshe sau sau tarah ke

    ek wo apne liye sab kuchh rawa karta hua

    haal kya puchho ho 'manzar' ka wo dekho us taraf

    sari duniya se alag apni sana karta hua

    RECITATIONS

    Umair Manzar

    Umair Manzar,

    Umair Manzar

    ilm o fan ke raaz-e-sar-basta ko wa karta hua Umair Manzar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now