aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahut dinon se mujhe tera intizar hai aa ja

Jameeluddin Aali

bahut dinon se mujhe tera intizar hai aa ja

Jameeluddin Aali

MORE BYJameeluddin Aali

    bahut dinoñ se mujhe terā intizār hai aa

    aur ab to ḳhaas vahī mausam-e-bahār hai aa

    kahāñ ye hosh ki uslūb-e-tāza se tujhe likhūñ

    ki ruuh tere liye saḳht be-qarār hai aa

    guzar chalī haiñ bahut ġham shorisheñ bhī hadoñ se

    magar abhī to tirā sab pe iḳhtiyār hai aa

    vo terī yaad ki ab tak sukūn-e-qalb-e-tapāñ thī

    tirī qasam hai ki ab vo bhī nāgavār hai aa

    ġhazal ke shikve ġhazal ke muāmlāt judā haiñ

    mirī tarah se to bhī vafā-shi.ār hai aa

    badal rahā ho zamāna magar jahān-e-tamannā

    tire liye to abad tak bhī sāzgār hai aa

    hazār tarah ke afkār dil ko rauñd rahe haiñ

    muqāble meñ tire rañj-e-rozgār hai aa

    bahut dinon se mujhe tera intizar hai aa ja

    aur ab to KHas wahi mausam-e-bahaar hai aa ja

    kahan ye hosh ki uslub-e-taza se tujhe likhun

    ki ruh tere liye saKHt be-qarar hai aa ja

    guzar chali hain bahut gham ki shorishen bhi hadon se

    magar abhi to tera sab pe iKHtiyar hai aa ja

    wo teri yaad ki ab tak sukun-e-qalb-e-tapan thi

    teri qasam hai ki ab wo bhi nagawar hai aa ja

    ghazal ke shikwe ghazal ke muamlat juda hain

    meri hi tarah se to bhi wafa-shiar hai aa ja

    badal raha ho zamana magar jahan-e-tamanna

    tere liye to abad tak bhi sazgar hai aa ja

    hazar tarah ke afkar dil ko raund rahe hain

    muqable mein tere ranj-e-rozgar hai aa ja

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Bilqis Khaanam

    Bilqis Khaanam

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 593)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now