Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

imarat ho ki ghurbat bolti hai

Waliullah wali

imarat ho ki ghurbat bolti hai

Waliullah wali

MORE BYWaliullah wali

    imārat ho ki ġhurbat boltī hai

    ba-har-sūrat sharāfat boltī hai

    vahāñ bāzār hotā hai manzar

    jahāñ ghar zarūrat boltī hai

    zabāñ ḳhāmosh rahtī hai lekin

    mire chehre rañgat boltī hai

    ba-zāhir guftugū hai muḳhlisāna

    magar dil meñ kudūrat boltī hai

    vo patthar mom ban jaa.e na kaise

    ki sar chaḌh ke mohabbat boltī hai

    zabān-e-ilm par taale paḌe haiñ

    ba-zo.am-e-ḳhud jahālat boltī hai

    zabāneñ kaaT jaatī haiñ phir bhī

    rag-o-pai se mohabbat boltī hai

    'valī' zindagī ā.īna-sūrat

    sadāqat sadāqat boltī hai

    imarat ho ki ghurbat bolti hai

    ba-har-surat sharafat bolti hai

    wahan bazar ka hota hai manzar

    jahan ghar ki zarurat bolti hai

    zaban KHamosh hi rahti hai lekin

    mere chehre ki rangat bolti hai

    ba-zahir guftugu hai muKHlisana

    magar dil mein kudurat bolti hai

    wo patthar mom ban jae na kaise

    ki sar chaDh ke mohabbat bolti hai

    zaban-e-ilm par tale paDe hain

    ba-zoam-e-KHud jahaalat bolti hai

    zabanen kaT di jati hain phir bhi

    rag-o-pai se mohabbat bolti hai

    'wali' ki zindagi aaina-surat

    sadaqat hi sadaqat bolti hai

    RECITATIONS

    Unknown

    Unknown,

    Unknown

    Amarat ho ke gurbat bolti hai Unknown

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now