Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

imtihan apne jafa-kash ka use manzur tha

Mirza Mohammad Ali Fidvi

imtihan apne jafa-kash ka use manzur tha

Mirza Mohammad Ali Fidvi

MORE BYMirza Mohammad Ali Fidvi

    imtihāñ apne jafā-kash use manzūr thā

    varna maiñ nazdīk thā furqat meñ kyā kuchh duur thā

    pūchhe hai āshiq apnī dekh kar turbat ko kyā

    kushtgān-e-ishq se ye bhī koī maġhfūr thā

    mudda.ā thā ham se bhaḌkānā use bāteñ sunā

    ḳhair-ḳhvāhī hamārī us meñ kyā mazkūr thā

    marte-marte abr ko hargiz na muñh chaḌhne diyā

    āfrīñ ai chashm-e-tar terā ye maqdūr thā

    mai-parastoñ ne tire yuuñ bhī na jaanā kaun hai

    shaiḳh go shaitān se zyāda yahāñ mash.hūr thā

    tīra-baḳhtān-e-asīr-e-zulf apne na pūchh

    roz-o-shab yaañ ek hai din bhī shab-e-dījūr thā

    be-qarārī dil le aa.ī galī meñ terī yaar

    us ko hāthoñ kyā karūñ nā-chār thā majbūr thā

    vasl meñ bhī haa.e apne meñ rahī

    kuchh na kahne paa.e 'fidvī' vo nashe meñ chuur thā

    imtihan apne jafa-kash ka use manzur tha

    warna main nazdik tha furqat mein kya kuchh dur tha

    puchhe hai aashiq ki apni dekh kar turbat ko kya

    kushtgan-e-ishq se ye bhi koi maghfur tha

    muddaa tha hum se bhaDkana use baaten suna

    KHair-KHwahi ka hamari us mein kya mazkur tha

    marte-marte abr ko hargiz na munh chaDhne diya

    aafrin ai chashm-e-tar tera hi ye maqdur tha

    mai-paraston ne tere yun bhi na jaana kaun hai

    shaiKH go shaitan se zyaada yahan mashhur tha

    tira-baKHtan-e-asir-e-zulf ki apne na puchh

    roz-o-shab yan ek hai din bhi shab-e-dijur tha

    be-qarari dil ki le aai gali mein teri yar

    us ko hathon kya karun na-chaar tha majbur tha

    wasl mein bhi hae apne ji ki ji mein hi rahi

    kuchh na kahne pae 'fidwi' wo nashe mein chur tha

    Source:

    Kulliyat-e-Fidvi (Pg. 63)

    • Author: Mirza Mohammad Ali Fidvi
      • Publisher: Matba Azad Press, Patna
      • Year of Publication: 1956
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now