imtihan humne diye hain naujawani mein bahut
imtihāñ ham ne diye haiñ naujavānī meñ bahut
aur number le chuke haiñ lan-tarānī meñ bahut
dushmanoñ kī dushmanī mere liye āsān thī
ḳharch aayā dostoñ kī mezbānī meñ bahut
un ke ruḳh kī jāzbiyyat kā sabab poshīda hai
aañkh meñ kam aur chashme kī kamānī meñ bahut
mehrbānī kar mujhe apnī kahānī meñ na rakh
be-tuke kirdār haiñ terī kahānī meñ bahut
dār-e-fānī itnī āsānī se kaise chhoḌ duuñ
dosto dilchaspiyāñ haiñ dār-e-fānī meñ bahut
ham ki haiñ be-ghar koī warrant lā.egā kahāñ
jurm kī āsāniyāñ haiñ lā-makānī meñ bahut
imtihan hum ne diye hain naujawani mein bahut
aur number le chuke hain lan-tarani mein bahut
dushmanon ki dushmani mere liye aasan thi
KHarch aaya doston ki mezbani mein bahut
un ke ruKH ki jazbiyyat ka sabab poshida hai
aankh mein kam aur chashme ki kamani mein bahut
mehrbani kar mujhe apni kahani mein na rakh
be-tuke kirdar hain teri kahani mein bahut
dar-e-fani itni aasani se kaise chhoD dun
dosto dilchaspiyan hain dar-e-fani mein bahut
hum ki hain be-ghar koi warrant laega kahan
jurm ki aasaniyan hain la-makani mein bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.