Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

imtihan-o-sabr ki had kyon paDe taKHir mein

Bekhud Mohani

imtihan-o-sabr ki had kyon paDe taKHir mein

Bekhud Mohani

MORE BYBekhud Mohani

    imtihān-o-sabr had kyoñ paḌe tāḳhīr meñ

    jo na likhvā.e koī likh de mirī taqdīr meñ

    ḳhvāb-e-hastī dekhne vaale the kaise bad-nasīb

    ḳhvāb aalam bhī guzrā dahshat-e-ta.abīr meñ

    hashr meñ halchal huī qātil ko ġhash aane lage

    aa.e vo kuchh be-gunah jakḌe hue zanjīr meñ

    in nasīboñ par thī qudrat se ulajhne umang

    umr bhar choTeñ chalīñ tadbīr aur taqdīr meñ

    aur aalam hai kuchh duniyā-e-husn-o-ishq

    hai yahāñ jo shai bhī hai Duubī huī tāsīr meñ

    naaz sajde meñ adā hairat meñ jalve vajd meñ

    dil ne ye dekhā harīm-e-dost tasvīr meñ

    zarre zarre se sadā-e-bāzgasht aane lagī

    aur kyā hotā asar zālim tirī taqrīr meñ

    dil ko paidā karke fitrat ḳhud ġhazab meñ paḌ ga.ī

    mahv hai iḳhfā-e-rāz-e-dahr tadbīr meñ

    jis meñ thiiñ saarī ḳhayāl-e-yār āzādiyāñ

    vo dil-e-ram-āfrīñ jakḌā rahā zanjīr meñ

    kyoñ kisī ne naqsh-e-āshob-e-tamanna khīñch kar

    bhar diyā majbūriyoñ rang har tasvīr meñ

    allah allah ek zarre bhī had miltī nahīñ

    rang ho naqqāsh itnā to har tasvīr meñ

    pā-e-‘beḳhud’ meñ kuchh aisī beḌiyāñ Daalī ga.iiñ

    jin se ba.ad-e-hashr bhī chhuTnā na thā taqdīr meñ

    imtihan-o-sabr ki had kyon paDe taKHir mein

    jo na likhwae koi likh de meri taqdir mein

    KHwab-e-hasti dekhne wale the kaise bad-nasib

    KHwab ka aalam bhi guzra dahshat-e-tabir mein

    hashr mein halchal hui qatil ko ghash aane lage

    aae wo kuchh be-gunah jakDe hue zanjir mein

    in nasibon par thi qudrat se ulajhne ki umang

    umr bhar choTen chalin tadbir aur taqdir mein

    aur hi aalam hai kuchh duniya-e-husn-o-ishq ka

    hai yahan jo shai bhi hai Dubi hui tasir mein

    naz sajde mein ada hairat mein jalwe wajd mein

    dil ne ye dekha harim-e-dost ki taswir mein

    zarre zarre se sada-e-bazgasht aane lagi

    aur kya hota asar zalim teri taqrir mein

    dil ko paida karke fitrat KHud ghazab mein paD gai

    mahw hai iKHfa-e-raaz-e-dahr ki tadbir mein

    jis mein thin sari KHayal-e-yar ki aazadiyan

    wo dil-e-ram-afrin jakDa raha zanjir mein

    kyon kisi ne naqsh-e-ashob-e-tamanna khinch kar

    bhar diya majburiyon ka rang har taswir mein

    allah allah ek zarre ki bhi had milti nahin

    rang ho naqqash ka itna to har taswir mein

    pa-e-‘beKHud’ mein kuchh aisi beDiyan Dali gain

    jin se baad-e-hashr bhi chhuTna na tha taqdir mein

    Source:

    Intikhab-e-Kalam-e-Bekhud Mohani (Pg. 69)

    • Author: Bekhud Mohani
      • Publisher: Uttar Pradesh Urdu Academy, Lucknow
      • Year of Publication: 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now