Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

in aaankhon mein bin bole bhi madar-zad taqaza hai

Fazl Tabish

in aaankhon mein bin bole bhi madar-zad taqaza hai

Fazl Tabish

MORE BYFazl Tabish

    in ā.ankhoñ meñ bin bole bhī mādar-zād taqāzā hai

    ḳhvāhish ḳhvāhish bikne vaalā malbūsātī kiiḌā hai

    us ke chāroñ or phireñ kyā us ke andar utreñ kyā

    apne andar utarne kyā kuchh kam pachhtāvā hai

    sannāTe dīvāroñ se sar Takrā kar mar jaao

    chīḳhoñ zālim darvāza qad se kaafī ūñchā hai

    galiyoñ galiyoñ ḳhaak uḌā har darvāza jhāñk aa.e

    tab kar ye ḳhvāboñ jaisā dhuñdlā-pan haath aayā hai

    kitne chāhe jismoñ lāsheñ manzar manzar haiñ

    lekin an-gin ḳhushiyoñ bhī ā.ankhoñ se rishta hai

    in aaankhon mein bin bole bhi madar-zad taqaza hai

    KHwahish KHwahish bikne wala malbusati kiDa hai

    us ke chaaron or phiren kya us ke andar utren kya

    apne hi andar utarne ka kya kuchh kam pachhtawa hai

    sannaTe ki diwaron se sar Takra kar mar jao

    chiKHon ka zalim darwaza qad se kafi uncha hai

    galiyon galiyon KHak uDa li har darwaza jhank aae

    tab ja kar ye KHwabon jaisa dhundla-pan hath aaya hai

    kitne hi chahe jismon ki lashen manzar manzar hain

    lekin an-gin KHushiyon ka bhi aaankhon hi se rishta hai

    Source:

    Shab Khoon(Shumara Number-070) (Pg. ebook-34 page-32)

      • Edition: 1971
      • Publisher: Asrar Karimi Press, Allahabad
      • Year of Publication: 1972
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now