Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

in bala ki aandhiyon mein ek shajar baqi rahe

Shafiq Saleemi

in bala ki aandhiyon mein ek shajar baqi rahe

Shafiq Saleemi

MORE BYShafiq Saleemi

    in balā āñdhiyoñ meñ ik shajar baaqī rahe

    fāḳhtāoñ ke liye koī to ghar baaqī rahe

    ek taara ek dīpak ek jugnū sahī

    raat dīvār meñ koī to dar baaqī rahe

    chāñd kashtī tah-e-dariyā huī thī jis jagah

    kuchh nishāñ baaqī rahe koī bhañvar baaqī rahe

    jaane vaale ko kabhī bhī lauT kar aanā nahīñ

    lauT aane bahar-sūrat ḳhabar baaqī rahe

    sard mausam meñ uThā kar haath ye māñgeñ duā

    tan meñ jaañ baaqī rahe jaañ meñ sharar baaqī rahe

    raah meñ thak kar kahīñ par baiTh mat jaanā 'shafīq'

    ghar jānib vāpsī ik safar baaqī rahe

    in bala ki aandhiyon mein ek shajar baqi rahe

    faKHtaon ke liye koi to ghar baqi rahe

    ek tara ek dipak ek jugnu hi sahi

    raat ki diwar mein koi to dar baqi rahe

    chand ki kashti tah-e-dariya hui thi jis jagah

    kuchh nishan baqi rahe koi bhanwar baqi rahe

    jaane wale ko kabhi bhi lauT kar aana nahin

    lauT aane ki bahar-surat KHabar baqi rahe

    sard mausam mein uTha kar hath ye mangen dua

    tan mein jaan baqi rahe jaan mein sharar baqi rahe

    rah mein thak kar kahin par baiTh mat jaana 'shafiq'

    ghar ki jaanib wapsi ka ek safar baqi rahe

    Source :
    • Book : Khayaabaan (Pg. 142)
    • Author : Hassan Abbas Raza
    • Publication : Bazm-e-Khayaabaan-e-adab, Pakistan
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now