Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

in dinon ji dukha sa rahta hai

Hairat Farrukhabadi

in dinon ji dukha sa rahta hai

Hairat Farrukhabadi

MORE BYHairat Farrukhabadi

    in dinoñ dukhā rahtā hai

    har ghaḌī dil bujhā rahtā hai

    kitne jhelūñ azaab raat aur din

    zehn bhī ab thakā rahtā hai

    zehn zaḳhmī hai ruuh bhī zaḳhmī

    dil meñ mela lagā rahtā hai

    koī mausam ho badliyoñ raaj

    ab to sūraj chhupā rahtā hai

    kis taraf jaa.e ye saḌak jaane

    bas ye khaTkā lagā rahtā hai

    chaar nafratoñ hai bārish

    zaḳhm dil harā rahtā hai

    ik nazar dekh luuñ vatan apnā

    jal rahā hai zarā rahtā hai

    jaane kyā ho gayā hai 'hairat' ko

    ḳhud se ḳhud ḳhafā rahtā hai

    in dinon ji dukha sa rahta hai

    har ghaDi dil bujha sa rahta hai

    kitne jhelun azab raat aur din

    zehn bhi ab thaka sa rahta hai

    zehn zaKHmi hai ruh bhi zaKHmi

    dil mein mela laga sa rahta hai

    koi mausam ho badliyon ka raj

    ab to suraj chhupa sa rahta hai

    kis taraf jae ye saDak jaane

    bas ye khaTka laga sa rahta hai

    chaar su nafraton ki hai barish

    zaKHm dil ka hara sa rahta hai

    ek nazar dekh lun watan apna

    jal raha hai zara sa rahta hai

    jaane kya ho gaya hai 'hairat' ko

    KHud se KHud hi KHafa sa rahta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now