Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

in pattharon ke shahr mein dil ka guzar kahan

Saba Ikram

in pattharon ke shahr mein dil ka guzar kahan

Saba Ikram

MORE BYSaba Ikram

    in pattharoñ ke shahr meñ dil guzar kahāñ

    le jaa.eñ ham uThā ke ye shīshe ghar kahāñ

    ham apnā naam le ke ḳhud apne shahr meñ

    ghar ghar pukār aa.e khulā koī dar kahāñ

    jaise har ek dar pe ḳhamoshī qufl ho

    ab gūñjtī hai shahr meñ zanjīr-e-dar kahāñ

    har vaqt sāmne thā samundar ḳhulūs

    lekin kisī ne dekhā kabhī Duub kar kahāñ

    jo chāho bhī to jism se nikaloge kis tarah

    mahbas meñ saañs ke koī dīvār-o-dar kahāñ

    is saḳht dopahar meñ kahāñ ke baiThiye

    rāhoñ meñ duur tak 'sabā' koī shajar kahāñ

    in pattharon ke shahr mein dil ka guzar kahan

    le jaen hum uTha ke ye shishe ka ghar kahan

    hum apna nam le ke KHud apne hi shahr mein

    ghar ghar pukar aae khula koi dar kahan

    jaise har ek dar pe KHamoshi ka qufl ho

    ab gunjti hai shahr mein zanjir-e-dar kahan

    har waqt samne tha samundar KHulus ka

    lekin kisi ne dekha kabhi Dub kar kahan

    jo chaho bhi to jism se nikaloge kis tarah

    mahbas mein sans ke koi diwar-o-dar kahan

    is saKHt dopahar mein kahan ja ke baiThiye

    rahon mein dur tak 'saba' koi shajar kahan

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 435)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now