in pattharon ko aaina-KHane se kya mila
in pattharoñ ko ā.ina-ḳhāne se kyā milā
tum pūchhte ho mujh ko zamāne se kyā milā
us shaḳhs kī vafā se ġhazal ho ga.ī tamām
socho haqīqatoñ ko fasāne se kyā milā
be-ghar thā aur rahtā thā saare jahān meñ
is qaid vaale ghar ke Thikāne se kyā milā
ab to ye kah rahā hai ki jā kar ḳhudā se maañg
mujh ko tire dayār meñ aane se kyā milā
mujh ko to sabz baaġh kī kaliyoñ kā 'ilm hai
ai shaḳhs tujh ko phuul churāne se kyā milā
maazī se le ke haal tak us kā karam hai dost
tujh ko mirā mazāq uḌāne se kyā milā
in pattharon ko aaina-KHane se kya mila
tum puchhte ho mujh ko zamane se kya mila
us shaKHs ki wafa se ghazal ho gai tamam
socho haqiqaton ko fasane se kya mila
be-ghar tha aur rahta tha sare jahan mein
is qaid wale ghar ke Thikane se kya mila
ab to ye kah raha hai ki ja kar KHuda se mang
mujh ko tere dayar mein aane se kya mila
mujh ko to sabz bagh ki kaliyon ka 'ilm hai
ai shaKHs tujh ko phul churane se kya mila
mazi se le ke haal tak us ka karam hai dost
tujh ko mera mazaq uDane se kya mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.