in unchi surKH fasilon ka darwaza kis par wa hoga
in ūñchī surḳh fasīloñ kā darvāza kis par vā hogā
ghoḌe kī bāgeñ thāme hue shahzāda soch rahā hogā
do-rūya gulāb ke paudoñ par rangoñ kī bahār sajī hogī
patthar kī kaalī sīḌhiyoñ par ik diyā abhī jaltā hogā
miTTī ke munaqqash pyāloñ par sadiyoñ kī gard jamī hogī
uḌ jaane vaale parinde kā piñjrā kaisā lagtā hogā
uḌte bāloñ kī oT kiye hāthoñ meñ zard charāġh liye
isī ThanDe farsh ke sahrā par koī nange pair chalā hogā
ḳhāmosh charāgāhoñ ke liye koī bādal aisā giit likhūñ
inhī dhūp-bhare maidānoñ meñ kahīñ bheḌoñ kā ġhalla hogā
in unchi surKH fasilon ka darwaza kis par wa hoga
ghoDe ki bagen thame hue shahzada soch raha hoga
do-ruya gulab ke paudon par rangon ki bahaar saji hogi
patthar ki kali siDhiyon par ek diya abhi jalta hoga
miTTi ke munaqqash pyalon par sadiyon ki gard jami hogi
uD jaane wale parinde ka pinjra kaisa lagta hoga
uDte baalon ki oT kiye hathon mein zard charagh liye
isi ThanDe farsh ke sahra par koi nange pair chala hoga
KHamosh charagahon ke liye koi baadal aisa git likhun
inhi dhup-bhare maidanon mein kahin bheDon ka ghalla hoga
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 25)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.