Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

inhen mat chheDiye inko to KHwahish hai singhasan ki

Sajid Akhtar

inhen mat chheDiye inko to KHwahish hai singhasan ki

Sajid Akhtar

MORE BYSajid Akhtar

    inheñ mat chheḌiye in ko to ḳhvāhish hai singhāsan

    faqat ye jaan liije ye hai aadat mulk-dushman

    ise tanhā.ī meñ jab yaad aa.ī apne sājan

    ġhamoñ ke saa.e meñ guzrī thī kal raat birhan

    batā.ūñ kyā tumheñ sarkash havā dāstāñ yāroñ

    ki shāḳheñ sūkhtī rahī hai mere gulshan

    ḳhudāyā ye hamārī qaum meñ tafrīq hai kaisī

    sabhī ko ek kar de ye duā hai mere tan-man

    ki baḌhtā rahā hai zāfrānī rañg har shai par

    nazar aatī nahīñ hai ḳhair ab apne nasheman

    mujhe phāñsī pe laTkā do magar sach baat bolūñgā

    chitā har gaam par jaltī hai yaaro aaj dulhan

    ye kaisā daur aayā hai ye kaise log haiñ 'sājid'

    madad koī nahīñ kartā yahāñ dil se abhāgan

    inhen mat chheDiye in ko to KHwahish hai singhasan ki

    faqat ye jaan lije ye hai aadat mulk-dushman ki

    ise tanhai mein jab yaad aai apne sajan ki

    ghamon ke sae mein guzri thi kal ki raat birhan ki

    bataun kya tumhein sarkash hawa ki dastan yaron

    ki shaKHen sukhti hi ja rahi hai mere gulshan ki

    KHudaya ye hamari qaum mein tafriq hai kaisi

    sabhi ko ek kar de ye dua hai mere tan-man ki

    ki baDhta ja raha hai zafrani rang har shai par

    nazar aati nahin hai KHair ab apne nasheman ki

    mujhe phansi pe laTka do magar sach baat bolunga

    chita har gam par jalti hai yaro aaj dulhan ki

    ye kaisa daur aaya hai ye kaise log hain 'sajid'

    madad koi nahin karta yahan dil se abhagan ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now