Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

inhi subhon mein wo ek subh-e-nawa yaad karo

Rifat Abbas

inhi subhon mein wo ek subh-e-nawa yaad karo

Rifat Abbas

MORE BYRifat Abbas

    inhī sub.hoñ meñ vo ik sub.h-e-navā yaad karo

    phuul khilne duā hai to duā yaad karo

    ik to bārish ke utarne thī apnī āvāz

    ik vo kuchh aur thī pattoñ sadā yaad karo

    ab vo rut hai ki darīchoñ meñ na ham haiñ na charāġh

    kitne atrāf se aatī thī havā yaad karo

    ab to is ḳhvāb ḳhushbū bhī kahīñ ho ki na ho

    ham vo kis mauj meñ the chashm-e-kushā yaad karo

    sub.h hone hai minnat to vo maano 'rif.at'

    phuul khilne duā hai to duā yaad karo

    inhi subhon mein wo ek subh-e-nawa yaad karo

    phul khilne ki dua hai to dua yaad karo

    ek to barish ke utarne ki thi apni aawaz

    ek wo kuchh aur thi patton ki sada yaad karo

    ab wo rut hai ki darichon mein na hum hain na charagh

    kitne atraf se aati thi hawa yaad karo

    ab to is KHwab ki KHushbu bhi kahin ho ki na ho

    hum wo kis mauj mein the chashm-e-kusha yaad karo

    subh hone ki hai minnat to wo mano 'rifat'

    phul khilne ki dua hai to dua yaad karo

    Source :
    • Book : Funoon (Monthly) (Pg. 404)
    • Author : Ahmad Nadeem Qasmi
    • Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
    • Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now