inhin aainon mein taswir-e-haqiqat to nahin
inhin aainon mein taswir-e-haqiqat to nahin
Syed Bashir Husain Bashir
MORE BYSyed Bashir Husain Bashir
inhīñ ā.īnoñ meñ tasvīr-e-haqīqat to nahīñ
kahīñ har zarra tire husn kī aayat to nahīñ
in hijābāt se TuuTī hai kahīñ himmat-e-ishq
jalva-e-yār kuchh anjām-e-mohabbat to nahīñ
vajd se mere na samjho ki huuñ nā-vāqif-e-hashr
raqs-e-parvāna koī raqs-e-masarrat to nahīñ
dil kī har ek ḳhushī jis ne badal dī ġham se
Dar ye hai ġham bhī kahīñ us kī amānat to nahīñ
lazzat-e-ishq meñ Duubā huā dil kyā kahnā
sochtā huuñ ġham-e-furqat hī ibādat to nahīñ
dekh kar mahmil-e-lailā ko na ḳhush ho majnūñ
isī parde meñ nihāñ sub.h-e-qayāmat to nahīñ
fikr-e-darmān-talab tujh ko mubārak lekin
kahīñ ye dard hī nādāñ tirī daulat to nahīñ
ġhaur kar ishq kī mastī pe machalne vaale
lazzat-e-sajda hī sajde kī ḳhayānat to nahīñ
un ke altāf se taskīn-e-junūñ kyā ho 'bashīr'
kuchh bhī badlā ho mohabbat kā mohabbat to nahīñ
inhin aainon mein taswir-e-haqiqat to nahin
kahin har zarra tere husn ki aayat to nahin
in hijabaat se TuTi hai kahin himmat-e-ishq
jalwa-e-yar kuchh anjam-e-mohabbat to nahin
wajd se mere na samjho ki hun na-waqif-e-hashr
raqs-e-parwana koi raqs-e-masarrat to nahin
dil ki har ek KHushi jis ne badal di gham se
Dar ye hai gham bhi kahin us ki amanat to nahin
lazzat-e-ishq mein Duba hua dil kya kahna
sochta hun gham-e-furqat hi ibaadat to nahin
dekh kar mahmil-e-laila ko na KHush ho majnun
isi parde mein nihan subh-e-qayamat to nahin
fikr-e-darman-talab tujh ko mubarak lekin
kahin ye dard hi nadan teri daulat to nahin
ghaur kar ishq ki masti pe machalne wale
lazzat-e-sajda hi sajde ki KHayanat to nahin
un ke altaf se taskin-e-junun kya ho 'bashir'
kuchh bhi badla ho mohabbat ka mohabbat to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.