Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

inkar ki lazzat se na iqrar-e-junun se

Mubashshir Saeed

inkar ki lazzat se na iqrar-e-junun se

Mubashshir Saeed

MORE BYMubashshir Saeed

    inkār lazzat se na iqrār-e-junūñ se

    ye hijr khulā mujh pe kisī aur fusūñ se

    ye jaan chalī jaa.e magar aañch na aa.e

    ādāb-e-mohabbat pe kisī harf-e-junūñ se

    ujlat meñ nahīñ hogī tilāvat tire ruḳh

    aa baiTh mire paas zarā der sukūñ se

    ai yaar koī bol mohabbat se bharā bol

    kyā samjhūñ bhalā maiñ tirī haañ se tirī huuñ se

    dīvār saaya to mujhe mil nahīñ paayā

    baiThā huuñ tirī yaad meñ ab lag ke sutūñ se

    tujh se to mirī ruuh bandhan thā mire yaar

    anjān rahā bhī mire hāl-e-darūñ se

    inkar ki lazzat se na iqrar-e-junun se

    ye hijr khula mujh pe kisi aur fusun se

    ye jaan chali jae magar aanch na aae

    aadab-e-mohabbat pe kisi harf-e-junun se

    ujlat mein nahin hogi tilawat tere ruKH ki

    aa baiTh mere pas zara der sukun se

    ai yar koi bol mohabbat se bhara bol

    kya samjhun bhala main teri han se teri hun se

    diwar ka saya to mujhe mil nahin paya

    baiTha hun teri yaad mein ab lag ke sutun se

    tujh se to meri ruh ka bandhan tha mere yar

    anjaan raha tu bhi mere haal-e-darun se

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now