Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

inqilab-e-sahar-o-sham ki kuchh baat karo

Arshad Siddiqui

inqilab-e-sahar-o-sham ki kuchh baat karo

Arshad Siddiqui

MORE BYArshad Siddiqui

    inqilāb-e-sahar-o-shām kuchh baat karo

    dosto gardish-e-ayyām kuchh baat karo

    jām-o-mīnā to kahīñ aur se le ā.eñge

    mai-kasho sāqī-e-gulfām kuchh baat karo

    ġhair sub.h-e-daraḳhshāñ tasavvur kab tak

    apnī kajlā.ī huī shaam kuchh baat karo

    phir jalānā mah-o-ḳhurshīd mahfil meñ charāġh

    pahle apne dar-o-bām kuchh baat karo

    kyā ye TuuTe hue paimāne liye baiThe ho

    bāda-nosho sitam-e-ām kuchh baat karo

    zikr-e-firdaus-o-iram kal pe uThā rakhte haiñ

    aaj to āriz-e-asnām kuchh baat karo

    maiñ to ḳhair apnī vafāoñ pe huuñ nāzāñ lekin

    vo jo tum par hai us ilzām kuchh baat karo

    talḳhī-e-kām-o-dahan se kahīñ ġham dhulte haiñ

    zālimo talḳhī-e-ayyām kuchh baat karo

    itnā sannāTā ki ehsās dam ghuTtā hai

    sub.h zikr karo shaam kuchh baat karo

    vahī 'arshad' ki jalātā hai jo āñdhī meñ charāġh

    haañ usī shā.ir-e-badnām kuchh baat karo

    inqilab-e-sahar-o-sham ki kuchh baat karo

    dosto gardish-e-ayyam ki kuchh baat karo

    jam-o-mina to kahin aur se le aaenge

    mai-kasho saqi-e-gulfam ki kuchh baat karo

    ghair ki subh-e-daraKHshan ka tasawwur kab tak

    apni kajlai hui sham ki kuchh baat karo

    phir jalana mah-o-KHurshid ki mahfil mein charagh

    pahle apne hi dar-o-baam ki kuchh baat karo

    kya ye TuTe hue paimane liye baiThe ho

    baada-nosho sitam-e-am ki kuchh baat karo

    zikr-e-firdaus-o-iram kal pe uTha rakhte hain

    aaj to aariz-e-asnam ki kuchh baat karo

    main to KHair apni wafaon pe hun nazan lekin

    wo jo tum par hai us ilzam ki kuchh baat karo

    talKHi-e-kaam-o-dahan se kahin gham dhulte hain

    zalimo talKHi-e-ayyam ki kuchh baat karo

    itna sannaTa ki ehsas ka dam ghuTta hai

    subh ka zikr karo sham ki kuchh baat karo

    wahi 'arshad' ki jalata hai jo aandhi mein charagh

    han usi shair-e-badnam ki kuchh baat karo

    Source:

    Nagma zaad (Pg. 79)

    • Author: Arshad Siddiqui
      • Edition: 2000
      • Publisher: Arshad Siddiqui
      • Year of Publication: 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now