insan andar-andar kitna bikhar gaya hai
insān andar-andar kitnā bikhar gayā hai
tahzīb kā vo dariyā chaḌh kar utar gayā hai
sochoñ meñ aag sī hai hairān zindagī hai
ye kaisā aadmī hai kis zaat par gayā hai
sahrāoñ ke safar meñ mashkīza-e-tamanna
jis ne bhī saath rakkhā vo shaḳhs tar gayā hai
duniyā ke bhed kyā haiñ qur.ān ved kyā haiñ
āgāhī-e-'adam meñ insān mar gayā hai
āvārgī-e-kāmil sab tujh se pūchhte haiñ
āvāra-hāl 'sānī' kyā apne ghar gayā hai
insan andar-andar kitna bikhar gaya hai
tahzib ka wo dariya chaDh kar utar gaya hai
sochon mein aag si hai hairan zindagi hai
ye kaisa aadmi hai kis zat par gaya hai
sahraon ke safar mein mashkiza-e-tamanna
jis ne bhi sath rakkha wo shaKHs tar gaya hai
duniya ke bhed kya hain quran wed kya hain
aagahi-e-'adam mein insan mar gaya hai
aawargi-e-kaamil sab tujh se puchhte hain
aawara-haal 'sani' kya apne ghar gaya hai
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 45)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.