insan hai agar tu to zamane ko bata de
insāñ hai agar tū to zamāne ko batā de
so.e haiñ jo be-ḳhauf zarā un ko jagā de
ho pyaar kā vistār sabhī or jahāñ meñ
nafrat kī jo dīvār hai us ko tū girā de
insāñ hai vahī sachchā jo nekī pe ho qaa.em
kartā nahīñ vo kaam jo 'izzat ko ghaTā de
qānūn kā duniyā meñ hai itnā hī irāda
insāf mile sab ko gunāhoñ pe sazā de
rahnā hai sadā duur fareboñ se bhī sab ko
ye paaTh jahāñ bhar meñ zarā sab ko paḌhā de
insan hai agar tu to zamane ko bata de
soe hain jo be-KHauf zara un ko jaga de
ho pyar ka wistar sabhi or jahan mein
nafrat ki jo diwar hai us ko tu gira de
insan hai wahi sachcha jo neki pe ho qaem
karta nahin wo kaam jo 'izzat ko ghaTa de
qanun ka duniya mein hai itna hi irada
insaf mile sab ko gunahon pe saza de
rahna hai sada dur farebon se bhi sab ko
ye paTh jahan bhar mein zara sab ko paDha de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.