Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

insan hawas ke rog ka mara hai in dinon

Soz Najeebabadi

insan hawas ke rog ka mara hai in dinon

Soz Najeebabadi

MORE BYSoz Najeebabadi

    insāñ havas ke rog maarā hai in dinoñ

    be-laus rabt kis ko gavārā hai in dinoñ

    dil ab mirā dimāġh ke taabe hai is liye

    jiinā tire baġhair gavārā hai in dinoñ

    mahrūmiyoñ ko maan ke taqdīr likhā

    dil se ġhamoñ bojh utārā hai in dinoñ

    mauzūñ hai vaqt āmad-e-tūfān ke liye

    kashtī se merī duur kinārā hai in dinoñ

    kūche meñ zindagī ke talāsh-e-sukūn meñ

    ik yug bhaTak ke maiñ ne guzārā hai in dinoñ

    insan hawas ke rog ka mara hai in dinon

    be-laus rabt kis ko gawara hai in dinon

    dil ab mera dimagh ke tabe hai is liye

    jina tere baghair gawara hai in dinon

    mahrumiyon ko man ke taqdir ka likha

    dil se ghamon ka bojh utara hai in dinon

    mauzun hai waqt aamad-e-tufan ke liye

    kashti se meri dur kinara hai in dinon

    kuche mein zindagi ke talash-e-sukun mein

    ek yug bhaTak ke main ne guzara hai in dinon

    Source:

    Azraab (Pg. 54)

    • Author: Soz Najeebabadi
      • Edition: 2014
      • Publisher: Mahnama Tamheed, Nizamabad
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now