Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

intiKHabi daur mein shola-bayani chhoD di

Badr-e-Alam Khan Azmi

intiKHabi daur mein shola-bayani chhoD di

Badr-e-Alam Khan Azmi

MORE BYBadr-e-Alam Khan Azmi

    intiḳhābī daur meñ sho'la-bayānī chhoḌ

    us ne mujh se har tarah bad-gumānī chhoḌ

    us vā'da hai vo kar degā mujhe jannat-nashīñ

    bā-ḳhushī maiñ ne agar masjid purānī chhoḌ

    maiñ haqā.eq ke sahāre ab talak laḌtā rahā

    phir achānak us ne baḌh kar ik kahānī chhoḌ

    jo the mahrūm-e-anā kar samundar meñ gire

    ek dariyā ne magar apnī ravānī chhoḌ

    jab adab ke sūrmā banñe lage pashsha-sifat

    ham ne bhī uktā ke āḳhir pahlvānī chhoḌ

    mere sar par har taraf se saikḌoñ patthar lage

    jab subuk-sar ho ke maiñ ne sargirānī chhoḌ

    par-fishāñ ash'ār haiñ hai farishtoñ nuzūl

    'adam ne ik balā-e-nāgahānī chhoḌ

    'ahd-e-nau meñ kuchh nahīñ miltā hai qīmat ke baġhair

    ab masīhā ne ravish apnī purānī chhoḌ

    jaane kis hāshiya-bardār hai merā qalam

    har kas-o-nā-kas is ne tarjumānī chhoḌ

    intiKHabi daur mein sho'la-bayani chhoD di

    us ne mujh se har tarah ki bad-gumani chhoD di

    us ka wa'da hai wo kar dega mujhe jannat-nashin

    ba-KHushi main ne agar masjid purani chhoD di

    main haqaeq ke sahaare ab talak laDta raha

    phir achanak us ne baDh kar ek kahani chhoD di

    jo the mahrum-e-ana ja kar samundar mein gire

    ek dariya ne magar apni rawani chhoD di

    jab adab ke surma banne lage pashsha-sifat

    hum ne bhi ukta ke aaKHir pahlwani chhoD di

    mere sar par har taraf se saikDon patthar lage

    jab subuk-sar ho ke main ne sargirani chhoD di

    par-fishan ash'ar hain ya hai farishton ka nuzul

    ya 'adam ne ek bala-e-nagahani chhoD di

    'ahd-e-nau mein kuchh nahin milta hai qimat ke baghair

    ab masiha ne rawish apni purani chhoD di

    jaane kis ka hashiya-bardar hai mera qalam

    har kas-o-na-kas ki is ne tarjumani chhoD di

    Source:

    Hizyan (Pg. 170)

    • Author: Badr-e-Alam Khan Azmi
      • Publisher: Aala Printing Press, Delhi
      • Year of Publication: 2008
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now