Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

intizar ki had tak intizar karna tha

Tameezuddin Tameez Dehlvi

intizar ki had tak intizar karna tha

Tameezuddin Tameez Dehlvi

MORE BYTameezuddin Tameez Dehlvi

    intizār had tak intizār karnā thā

    e.atibār had tak e.atibār karnā thā

    hāl-e-dil to kahnā thā muḳhtasar magar qāsid

    iḳhtisār had tak iḳhtisār karnā thā

    ḳhvāb ho ki bedārī-e-āh-o-nāla-o-zārī

    iḳhtiyār had tak iḳhtiyār karnā thā

    us ne hasb-e-āsā.ish adū ko fahmā.ish

    ḳhāksār had tak ḳhāksār karnā thā

    na.ash bhī mirī us ne qabr meñ na rahne

    be-dayār had tak be-dayār karnā thā

    yaas ho ki sarmastī chaak jāma-e-hastī

    taar taar had tak taar taar karnā thā

    ai 'tamīz' yāroñ par nā-tavāñ sahāroñ par

    inhisār had tak inhisār karnā thā

    intizar ki had tak intizar karna tha

    eatibar ki had tak eatibar karna tha

    haal-e-dil to kahna tha muKHtasar magar qasid

    iKHtisar ki had tak iKHtisar karna tha

    KHwab ho ki bedari-e-ah-o-nala-o-zari

    iKHtiyar ki had tak iKHtiyar karna tha

    us ne hasb-e-asaish ki adu ko fahmaish

    KHaksar ki had tak KHaksar karna tha

    nash bhi meri us ne qabr mein na rahne di

    be-dayar ki had tak be-dayar karna tha

    yas ho ki sarmasti chaak jama-e-hasti

    tar tar ki had tak tar tar karna tha

    ai 'tamiz' yaron par na-tawan sahaaron par

    inhisar ki had tak inhisar karna tha

    Source:

    Shauq Ka Daftar (Pg. e-18 p-17)

    • Author: Tameezuddin Tameez Dehlvi
      • Edition: 2004
      • Publisher: Urdu Academy, Delhi
      • Year of Publication: 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now