iqbaal yunhi kab tak hum qaid-e-ana kaTen
'iqbāl' yūñhī kab tak ham qaid-e-anā kāTeñ
mil baiTh ke logoñ meñ aa apne ḳhalā kāTeñ
jo karnā hai ab kar leñ ham tum se na kahte the
ab sañg-sitam chāheñ hone kī sazā kāTeñ
ab bāñjh zamīnoñ se ummīd bhī kyā rakhnā
ro.eñ bhī to lā-hāsil bo.eñ bhī to kyā kāTeñ
par le ke kidhar jaa.eñ kuchh duur tak uḌ aa.eñ
dam jitnā mayassar hai ye Thahrī havā kāTeñ
is marhala-e-shab meñ ab ek hī sūrat hai
yā dasht-e-talab pāTeñ yā gardish-e-pā kāTeñ
'iqbaal' yunhi kab tak hum qaid-e-ana kaTen
mil baiTh ke logon mein aa apne KHala kaTen
jo karna hai ab kar len hum tum se na kahte the
ab sang-sitam chahen hone ki saza kaTen
ab banjh zaminon se ummid bhi kya rakhna
roen bhi to la-hasil boen bhi to kya kaTen
par le ke kidhar jaen kuchh dur tak uD aaen
dam jitna mayassar hai ye Thahri hawa kaTen
is marhala-e-shab mein ab ek hi surat hai
ya dasht-e-talab paTen ya gardish-e-pa kaTen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.