Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ird-gird sab rang sarasar aur hi kuchh the

Rafique Ahmad Naqsh

ird-gird sab rang sarasar aur hi kuchh the

Rafique Ahmad Naqsh

MORE BYRafique Ahmad Naqsh

    ird-gird sab rang sarāsar aur kuchh the

    aañkh khulī to saare manzar aur kuchh the

    tujh se mil kar aur na koī dhyān meñ aaya

    tujh se pahle soch ke mehvar aur kuchh the

    rafta rafta har ik ghaav bhar jaatā hai

    pahle-pahal ham tujh se bichhaḌ kar aur kuchh the

    tārīkī sannāTā tanhā.ī aur yādeñ

    raat ko ye aalam thā din-bhar aur kuchh the

    siine meñ thā dard magar hoñToñ pe tabassum

    bāhar ham kuchh aur the andar aur kuchh the

    ab to saarā ghar suunā suunā lagtā hai

    milan ghaḌī meñ dīvār-o-dar aur kuchh the

    jhūTī niklīñ naqsh ḳhushī sab rekhā.eñ

    pesh aa.e hālāt jo aksar aur kuchh the

    ird-gird sab rang sarasar aur hi kuchh the

    aankh khuli to sare manzar aur hi kuchh the

    tujh se mil kar aur na koi dhyan mein aaya

    tujh se pahle soch ke mehwar aur hi kuchh the

    rafta rafta har ek ghaw bhar jata hai

    pahle-pahal hum tujh se bichhaD kar aur hi kuchh the

    tariki sannaTa tanhai aur yaaden

    raat ko ye aalam tha din-bhar aur hi kuchh the

    sine mein tha dard magar honTon pe tabassum

    bahar hum kuchh aur the andar aur hi kuchh the

    ab to sara ghar suna suna lagta hai

    milan ghaDi mein diwar-o-dar aur hi kuchh the

    jhuTi niklin naqsh KHushi ki sab rekhaen

    pesh aae haalat jo aksar aur hi kuchh the

    Source:

    Muntakhab Ghazlein-1982 (Pg. 86)

      • Publisher: Zahid Malik
      • Year of Publication: 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now