Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is bahr-e-be-sada mein kuchh aur niche jaen

Bashir Saifi

is bahr-e-be-sada mein kuchh aur niche jaen

Bashir Saifi

MORE BYBashir Saifi

    is bahr-e-be-sadā meñ kuchh aur nīche jaa.eñ

    āvāz ḳhazīna shāyad tahoñ meñ paa.eñ

    galiyoñ meñ saḌ rahī haiñ biite dinoñ lāsheñ

    kamre meñ gūñjtī haiñ be-nām sadā.eñ

    maazī ye imārat mehmāñ hai koī dam

    dīvār-o-dar shikasta aur tez-tar havā.eñ

    lete haath meñ kyuuñ aḳhbār phaaḌ Daalā

    kaisī ḳhabar chhapī thī ham kis ko kyā batā.eñ

    shab siyah nadī se 'saifī' ubhar ke socho

    sūraj raushnī meñ saa.e kahāñ chhupā.eñ

    is bahr-e-be-sada mein kuchh aur niche jaen

    aawaz ka KHazina shayad tahon mein paen

    galiyon mein saD rahi hain bite dinon ki lashen

    kamre mein gunjti hain be-nam si sadaen

    mazi ki ye imarat mehman hai koi dam ki

    diwar-o-dar shikasta aur tez-tar hawaen

    lete hi hath mein kyun aKHbar phaD Dala

    kaisi KHabar chhapi thi hum kis ko kya bataen

    shab ki siyah nadi se 'saifi' ubhar ke socho

    suraj ki raushni mein sae kahan chhupaen

    Source:

    Urdu Adab (Pg. 39)

    • Author: Iqbal Hussain
      • Edition: Jan, Feb. Mar 1996
      • Publisher: Iqbal Hussain Publishers
      • Year of Publication: Jan, Feb. Mar 1996
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now